Suno.....
Naraaz Ho Hum Se?
Magar Hum wo Hen
Jin Ko To
Manaana b Nahi Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Se
Muhabbat Jo Nahi Ki Hay
Muhabbat Kesi Hotii Hay?
Hamary Shehar k Atraaf Men To
Sakht Pehra Tha
Khizaown Ka
Aur Iss Shehar-e-Preshan
Ki Faseelen
Zard Belon Se Ladi Thin
Aur Un Men
Na Khushboo Thi,
Na Koi
Phool
Din bhar k thaky Hawa Hum Per
Qadam Rakhti
To Uss k Paaown k Neechay
Hamara Dam Nikal Jata
Magar Pat Jharr Ka Wo Mousam
Suna He
Tal Chuka Ab To
Magar Jo
Haar Hona Thi
So Wo To
Ho Chukii Hum Ko
Suno.....
Haary Hove Logoon Se
To Rootha Nahi Karty...!!!..
Aslam o aliqum
how r u friend
gud morning 2u
Yoon akelay men usay ehd-e-wafa yaad aaey,
Jesay banday ko museebat men khuda yaad aaey
Jesay ujray hovy panchi ko nasheman apna,
Jesay apnon k bicharnay pe dua yad aaey.
Jesay dhalti hoi shamon ko sawera koi,
Jesay pinjray men parinday ko Fizaa yad aaey,
Jesay boorhay ko khyalat men bachpan apna,
Jesay bachay ko shrarat pe saza yaad aaey.
Jesay ujri hoi basti ko zamana apna,
Jesay tufaan k thehernay pe diya yaad aaey.
Jesay palkon k jhapaktay hi kinaray bheegen,
Jesay us roz, hova kon juda, yaad aaey
Jesay sooraj ki tamazat men ghata yaad aaey,
Yoon akely men usay ehd-e-wafa yaad aaye.
Kuch Aise Log Jo Khas Bohut !!
Jo Dost B Hoon Or Piyare B!!
Tareef Mein Jin Ki Lafz Na Hoon !!
To Aam Se Lafz Hum Likhein Kyn!!
Kuch Safhay
Kuch Linain
Kuch Warq !!
Kyn Na Khali Rehne Dain !!
Or Tum se Piyare logon Ko
Sirf !!
Hum
Apne Dil Mein Hi Rehne Dein!
~♥•$hååm•♥~
Aj dunya ne
sitam dahay to
dil toot gya
teri baten
tera andaz e wafa
yaad aya
kash hm tum ko
mana lete
na jane dete
aj muddaton bad
ye ahsas e khatta
yaad aya
¤$hååm¤
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra…
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela…
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain…
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra…
Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta…
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra…
Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho…
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra…
Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per…
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai…
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra…
Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna…
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra…
Hijar Ka Taara Doob Chala Hai
Dhalne Lagi Hai Raat Wasi
Qatra Qatra Baras Rahi Hai
Ashkon Ki Barsaat Wasi
Tere Bad Ye Duniya Wale
Mujh Ko Pagal Kar Den Gay
Khushbu K Dais Men Mujh Ko
Le Chal Apne Sath Wasi
Yun Hi Chup Ki Mohar Laga Kar
Kb Tak Ghum Sum Betho Gay
Khamoshi Se Dam Ghut_Ta Hai
Cherro Koi Bat Wasi
Aj To Us Ka Chehra Bhi Kuch
Badla Badla Lagta Hai
Mosam Badla, Duniya Badli,
Badl Gay Haalat Wasi
Mere Ghar Khushiyon Ka Ye Raqs
Usi K Dam Se Hai
Us K Sath Chali Jay Gi
Pholoon Ki Baraat Wasi
Chor Wasi Ab Us Ki Yaden
Tujh Ko Pagal Kar Den Gi
Tu Qatra Hai Wo Darya Hai
Dekh Apni Auqaat Wasi
Chalo Phir
Dhoond Layen Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!
Unhi Masoom Khushiyon Ko!
Unhi Rangeen Lamhon Ko!
Jahan Gham Ka
Pata Na Tha!
Jaha Dukh Ki
Samjh Na Thi!
Jahan Bus Muskurahat Thi!
Baharen Hi Baharen Thi!
Chalo Phir
Dhoond Layen Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!
K Jab Sawan
Barasta Tha!
To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!
Bana’na Aur Dabo Dena!
Boht Acha Sa Lgta Tha!
Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!
Boht Sacha Sa Lagta Tha!
Chalo Phir
Dhoond Layen Hum
Usi Masoom Bachpan Ko
jaha Bachpan bitaya tha
Jahan Supna sajaya tha
Jahan Pairhon k Saay men
Gharownda ik Banaya tha